Kaalay Qaul - Hassan Nisaar Say Ma’azrat Kay Saath
By Kaptain Mirza • Oct 2nd, 2009 • Category: Politics • 4 CommentsAbba – zeest k warq per chann’d ek adhoori satrein, kuch mitti huwi, kuch mad’hamm, kuch bhoolai gaeein, kuch aansoo’oan say nehlaai gaeein, kuch dard bhari per ziaada tehleel kardi gaeein
Iman – woh Gosha, woh tijaarat jo kisi mehnat ya sanyaas k baad na mila, buss kissi gunahgaar k do gumnaam say aansoo is samander ko bhardein..
Siyaasatdaan – ek wehmi ka lailaaj bukhaar
Achay Siyaasatdaan – aisay nayaab jaisay aaj k Zamaanay mein Nubuwaat Moosa ko milay
Malabari Qaum – Iblees ki jamaat mein hoan to Kal Iblees Sajda raiz hojaaye
Waqt – woh dhoka, jo iskay dhokay mein raha paar hua, jo iskay dhokay mein na aaya so khud dhokay mein raha
Zeest – ek tohfa jissay kholnay ki naubat kamm ko milti hai, is say kamm jo is per ghaur bhi karein
Muhabbat – Jaan leva; Larki say ho ya Ma’abood say
Ilm – asal sakhaawat,
Jawaani – sub ney hai haarjaani, koi motorcycle per to koi kisi doar k taiz dhaar say
Burhaapa – naama e amaal
Maal – dunya ki nazar biwi per, biwi ki is per
Ghuroor – woh gard ka gola jo samjhay k sehra ussi k damm say hai, tab bhi na samjhay jab rayt k teeloan talay bhi hull hojaaye
Sharafat – who sikka jo zamaanaa e Hiroshima mein dabba dia gaya
Imaandaari – jis per ab bey Imaan falsafa or meyaar naap saktay hein
Sehat – woh raaz jissay cheen mein dhoondna hai
Ibaadat – ek dil farayb warzish c reh gai hai
Sachai – daadi zinda theein to bataaya karti theein kuch
Khuloos – ek charhaawa – rishtay lainay or dainay ka
Parda – niyyat per ho to wajib, na ho to bhi koi masla hee nahin
Zakhm – sub say ziaada paaye jaanay waali shay, dainay mein sub say halkay, saaya saath choar jaaye per zakhm nahin
Nafrat – ek qaabiliyyat jo kitaaboan mein harr giz na milay, aurtoan say mil sakti hai, shart yeh hai k anparh or faarigh hoan
Gheebat – paisha or pasand
Eid – Gheebat ka budget paish karnay ka din
Jahan Khizaan lambi ho wahan aanay waali bahaar bhi taweel hojaati hai, dekhna yeh hai k khizaan k saath chaltay ho ya shikway ki thokar mein chaal badal laitay ho
Bahaar aati wahan hai jahan khaali meydaan kushaada hoan, dil baray hoan to ranjish bhi ek kankar hai jis say bayr toar k khaaye jaa saktay hein.
Dil baray umeed say or maaf kardainay say hotay hein
Ghussa – baray bachoan ka mashghala per kismet ki haar shart hai
Aqalmandi – gehri soach mein hai
Sabzi – insaan ki haisiyat or auqaat, ameer ya ghareeb
Dosti – ek moqa, ek lottery, rishtay karnay karaana ka
Islam – kya hai? Islamabad mein hoga, pata karlo, yahan to nahi aaya
Siyaasi partiyaan – retired bachoan ki shatranj
Gol gappa – na hota to India say import karna parta
India – agar haqeeqat aashkaar hojaaye to hum 3 saal mein is say aagay hoan, per beydaari bhi funn hai jo Iqbal na choar k gaye
Balochistan – dil ka kya rang karoon, khoon e jigger honay tak..
Trackback URL
|
|
|
Click For More Articles By Kaptain Mirza
All posts by Kaptain Mirza
You can follow any responses to this entry through the RSS 2.0 feed.


Well Written, Mirza.
Bahaar aati wahan hai jahan khaali meydaan kushaada hoan, dil baray hoan to ranjish bhi ek kankar hai jis say bayr toar k khaaye jaa saktay hein.
well said.
Pardon my ignorance, but why are you asking for sorry from Hassan Nisar?
Jibran,
Hassan Nisaar writes in the same style. Just ‘tried’ to copy him.
Thanks Mohsin.
This was written after my Father’s death.